Wednesday 1 August 2012

Pyari Maa

‘Kitni azeem shakhsiyat hai wok is ki hum khidmat nahi krte ‘
‘Us k ass pass hote hue bhi us ki Qadr nai krte’
‘Jab us ki maujoodgi hoti hai to qadr nahi aur jab qadr hoti hai to maujoodgi nahi"
‘Us ne humein itni takleefon se pala’
‘Badlay men hum ne us ki jholi men kia dala”
‘Us ne humein har mushkil se bachaya”
“Lekin hum ko apne pass ziada tar ghairhazir paya”
“Jab ghar se niklein hum to dua krti hai wo”
“Har lamha har waqt fiqar humari krti hai wo”
“Us ne mere liye apne har aram ko tarq kia”
“Sirf mere liye us ne kai pareshanion ka jam bhi pia”
“Meri khuahishaat k liye mar liya apne jia”
“Phir bhi kabhi uff tak na kia”
“Shuru se akhir tak us ne bus mujh ko dia hi dia”
“Apne beshumaar ehsanaat ka koi muafza bhi na liya”
“Ho hi to hai jo humari kamiabi k liye sab kuch har gai”
“Phir bhi dekho wo lakhon baziyan maar gai”
“To us ki khidmat karo aur us se pyar karo”
“Us se apne pyar k izhaar men intizaar na karo”
“Us k jaisi be loos muhabbat koi kar nahi sakta”
“Wo aisi nemat hai jis ka naim-ul-badal ho nahi sakta”
“Jab wo apna Dast-e-shafqat mere sir pe rakhti hai”
“Phir dunya ki har mushkil mujhe assan lagti hai”
“Ye shakhsiyat kon hai? Aur usey hum kia kehte hen”
“Ye dunya ki sab se azeem aur bari shakhsiyat hai aur sb usey MAAN! Kehte hen”

No comments:

Post a Comment